tujhay izhar.e.muhabat se nafrat hai

tu ne hoton ko larzny se to roka hota

bey niyazi se mager kanpti awaz k sath

tu ney ghabra k mera nam na pocha hota

tery bas men the ager mishal.e.jazbat ki loo

tery rukhsaar men gulzaar na bharka hota

yon to muj se huen sirf aab.o.hawa ki baten

apny toty huy fikron ko to parkha hota

yunhe be waja thathkny ki zrorat kya the

dam.e.rukhsat ager yaad na aya hota

tera gham bana khud tera andaz.e,kharam

dil na sambhla tha to kadmo ko he sambhala hota

apny badly meri tasveer nazar aa jati

tu ne us waqt ager aaina dekha hota

hosla tujh ko na tha muj se juda hony ka

warna kajal teri ankho men na phila hota