tu ba.De pyaar se ba.De chaao se ba.De aramaan ke saath

apani naazuk si kalaai main cha.Dhaatii mujh ko

aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein

tu kisi soch mein Dubi jo ghumaati mujh ko

main tere hath ki Khushbu se mahak sa jata

jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karati

tere honton ki shiddat se main dahak sa jata

raat ko jab bhi tu nindon ke safar par jati

marmari haath ka ik takiyaa banaya karti

main tere kaan se lag kar kai baten karta

teri zulfon ko tere gaal ko chuma karata

jab bhi tu band qaba kholane lagati jana

apani aaNkhon ko tere husn se khera karta

mujh ko betaab saa rakhta teri chahat ka nasha

main teri ruuh ke gulashan mein mahkata rahta

main tere jism ke aaNgan mein khanaktaa rahta

kuch nahin to yahi benam saa bandhan hotaa

kaash main tere hasin haath kaa kangan hotaa