Tohmatein to lagti hain

roshni ki khwahish mein

ghar se baahar aane ki

kuch saza to milti hai

log-log hote hain

inn ko kya khabar jaana’n

aap ke iraado’n ki

khubsoorat aankhon mein

basne waale sapno’n ke

rang kaise hote hain

dil ki god aangan mein

palne waali baato’n ke

zakhm kaise hote hain

kitne gehre hote hain

kab ye soch sakte hain

aisi be-gunaah aankhein

ghar ke kone khudro’n mein

chhup ke kitna roti hain

phir bhi ye kahaani se

apni kaj-bayaani se

iss kadar rawaani se

daastan sunte hain

aur yaqeen ki aankhein

sach ke gham-zada dil se

lag ke kitna roti hain

tohmatein to lagti hain

roshni ki khwahish mein

tohmato’n ke lagne se

dil se dost ko jaana’n

ab nidhaal kya karna

tohmato’n se kya darna

tohmatein to lagti hain

roshni ki khwahish mein

ghar se baaher aane ki

kuch saza to milti hai..!