tez ho jaata hai khushboo ka safar shaam ke baad

phuul shahro.n mei.n bhi khilte hai.n magar shaam ke baad

usse daryaaft na karna kabhi din ke haalaat

sub’ha ka bhuula jo lauT aaya ho ghar shaam ke baad

din tere hijra mei.n kaT jaata hai jaise-taise

mujhse rahtii hai khafaa merii nazar shaam ke baad

qad se baDh jaaye jo saaya to buraa lagtaa hai

apanaa suuraj woh uThaa leta hai har shaam ke baad

tum na kar paaoge andaaza tabaahii ka merii

tumne dekha hii nahii.n koyii kha.NDar shaam ke baad

mere baare mei.n koyii kuCh bhi kahe sab manzuur

mujhko rahtii hii nahii.n apnii khabar shaam ke baad

ye hii milne ka samay bhi hai biChaDne ka bhi

mujhko lagtaa hai bahut apne se Dar shaam ke baad

tiiragii ho to vujuud uskaa chamakta hai bahut

DhuuND to lunga use ‘Noor’ magar shaam ke baad