Teri Aankhon Main Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai

Jisey Dewaar Samjha Hai Woh, Woh Rasta Ho Bhi Sakta Hai

Zamana Ghor Sey Daikhey Jisey Is Ney KHUDA Samjha Hai

Woh Is Key Haath Ka Pathar Trasha Ho Bhi Sakta Hai

Nazar Sey Door Reh Kar Bhi Kisi Soch Mein Rehna

Kisi Key Pass Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai

Woh Apni Sard Mohri Sey Mujhey Had Mein To Rakhta Hai

Mera Had Sey Guzarney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai

Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kon Sii Mushkil

Magar Eik Shakhs Mailey Mein Akaila Ho Bhi Sakta Hai

Yeh Seedhii Raah Par Chalna Khaan Sey Seekh Aaye Ho?

Yeh Rasta Dostii Ka Hai Yeh Ttaira Ho Bhii Sakta Hai

Main Apney Jism O Jaan Ko Sath Rehtey Dekh Kar Samjha

Nibhaana Ho Jisey Mushkil Wo Rishta Ho Bhi Sakta Hai

Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Eik Dharaa

Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai

Nikal Kar Band Kamrey Sey Zara Baazar Mein Aao

Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai