tarz jiine kaa sikhatii hai mujhe

tashnagii zahar pilaatii hai mujhe

raat bhar rahatii hai kis baat kii dhun

na jagaatii hai na sulaatii hai mujhe

ruuThataa huuN jo kabhii duniyaa se

zindagii aake manaatii hai mujhe

aaiinaa dekhuuN to kyuuNkar dekhuuN

yaad ik shaKhs kii aatii hai mujhe

band karataa huuN jo aaNkhen kyaa kyaa

roshanii sii nazar aatii hai mujhe

koii mil jaaye to raastaa kaT jaaye

apanii parachaaii Daraatii hai mujhe

ab to ye bhuul gayaa kis kii talab

des parades phiraatii hai mujhe

kaise ho Khatm kahaanii Gam kii

ab to kuchh niind sii aatii hai mujhe