*. . .Takleef-E-Hijar de gai rahat kabhi kabhi,

Badla hai yun b Rang-E-Mohabbat kabhi kabhi,

DiL ne teri jafa ko sahara samajh lia,

Guzri hai yun b ham pe museebat kabhi kabhi,

Duniya samajh na le tere gham ki nazaakatein,

Krta hun Zair-E-Lab jo shikayat kabhi kabhi,

Hai jis taraf nigaah tawajoh udhar nahi,

Hoti hai berukhi b inayat kabhi kabhi,

Ae Shab-E-Firaaq tu gabhra gaya hai kion,

Aati hai zindagi mein qayamat kabhi kabhi. . .*

Røçk$, , ,