Taiz raftaar lamhon ki haden tarteeb deta hn

Sehar ki saans ginta hn

shaben tarteeb deta hn.

Main aab e zar sy likhta hn uska naam shairon mai,

Sunehry lafz bunta hn

unhen tarteeb deta hn.

Ussy sochon to pehlo sy sirak jata hai dil mera,

Main dil py hath rakh kar dharkanen tarteeb deta hn.

Mere logon ki Fitrat mai yeh zidi WASI shamil hai

Wohi mujh ko mitaty hain jinhen tarteeb deta hn…