Suno mein laut aya hoon

Meri batein

Meray waday

Mein apne saath laya hoon,

Suno meri dharkan mein

Wohi ik saaz bajta hai

Andaz meri baton ka

Tera andaz lagta hai

Khazaan k zard patton ko

Barf se sard mosam ko

Hijar ki garm aahon ko

Tanhai ki bahon ko

Suno

Main chor aya hoon

Abhi jo sakt baaqi hai

Mera jo wqat baaqi hai

Sameto mujh ko bahoon mein

*~??~Chiddi~??~*