suno

aey chand si lardki

abhi tum titliyan pakrdo

ya phr guria se khailo tum

ya phr masoom si ankhun se

dherun khuwab daikho tm

faraz o faiz o mohsin ki

kitabain mt abhi pardhna

ye sb lafzun k shair hain

tmhain uljha k rakh dain ge

tmhain malum hi kb he

mhbt k libade main hawas o hirs hoti he

ye insanu ki dunia he

mgr in se kahen bardh kr

yahan wehshi darinde hain

wo wehshi jin ki ankhun main

machalte pyr k peeche hawas o hirs hoti he

abhi kachi kali ho tm

abhi kantun se mt khailo

abhi apni hatheli pr

kisi ka nam mt likho

abhi apni kitabun main gulabi phool na rakho

abhi shairun me mt uljho

abhi khud ko sambhalo tm

abhi mt gun gunao tm

abhi se ishq mt socho

abhi sb bhool jao tm