Suna hai janglun ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jab pait bhar jaye

to woh hamla nahee karta

Darakhton ki ghani chhaon mein ja kar let jata hai

Hawa kay taiz jhonke jab darakhton ko hilate hain

To maina apne bache chhor kar

Kawway kay andon ko paron mein tham leti hai

Suna hai ghonsle se koi bacha gir paray to

sara jungle jaag jata hai

Suan hai jab kisis naddi kay pani mein

baye kay ghonsle ka gandami saaya larazta hai

To naddi ki rupehli machhlyaan usko padosi maan leti hain

Koi tufan aa jaye koi pull toot jaye toh

Kisis lakri kay takhtay par

Gulehri, saanp, bakri aur cheetah sath hotay hain

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Khuda wanda, jaleel o mohtbar

Daana o beena, munsif o akbar

Mere is shahr mein

Ab janglon ka he koi qanoon nafiz kar