S@rvesh Ch@ndosi

phuul Khushbuu jhiil mausam dhuup titalii aur havaa

sab ke cheharon par udaasii tere jaane ke baad

kam nahiin hongii dasht-e-tanhaaii kii raunaqen

ek diivaanaa haNsegaa ek diivaane ke baad

labon par jaan rakh dii hai use Khabar kar do

mariiz us kaa abhii hai use Khabar kar do

salaaKhen chuum rahe hain jo qaid Khaane kii

sazaa us kii vahii hai use Khabar kar do

jab bikaa baazaar men yuusuf thaa main

daar pe laTakaa to main mansuur thaa

sabhii ne koshishen kar liin magar tere sadqe

falak pe shams azaan-e-bilaal se nikalaa