(SHAYAD)

Wo ek masoom si chahat

Wo ek benam si ulfat

Wo meri zaat ka hissa

Wo meri zeest ka qissa

Mujhe mehsus hota hey

Wo merey pas hy ab bhi

Wo jub jub yad ata hey

Nigahon mey samata hy

Zuban khamosh hoti hy

Magr ye ankh roti hy

Hum khud sey poch letey hein

Jisey hum yad krtey hein

Usay kiya piyar tha hum sey

Jo ab hum” soch letey hein

Usay b piyar tha Shayad

Isi “Shayad” sey wabasta hy ab to hr khushi meri

Yahi ek lafz “Shayad” ban gaya hy zindgi meri..