Shamm-e-mehfil ho k tu jab soz se khaali raha

Tere parwaane bhi is lazzat se be-gaane rahe

Rishta-e-ulfat mein jab in ko piro sakta tha tu

Phir pareshaaN kiyuN teri tasbeeh k daane rahe

Shauq-e-be-parvaa gaya, fikr-e-falak-paimaa gaya

Teri mehfil mein na diwaane na farzaane rahe

Wo jigar-sozi nahi, wo sho’la-aashaami nahi

Faaida phir kya jo gird-e-shamma parwaane rahe

Khair, tu saaqi sahi lekin pilaaye ga kise

Ab na wo mai-kash rahe baaqi, na mai-khaane rahe

Ro rahi hai aaj ik TooTi hui meena usey

Kal talak gardish mein jis saaqi k paimaane rahe

Aaj hain khaamosh wo dasht-e-junooN-parvar, jahaaN

Raqs mein laila rahi, laila k diwaane rahe

Waaye na-kaami, mataa-e-kaarvaaN jaata raha

KaarvaaN k dil se ehsaas-e-zyaaN jaata raha