shaiKh saahab se rasm-o-raah na kii

shukr hai zindagii tabaah na kii

tujh ko dekhaa to ser-e-chashm hue

tujh ko chaahaa to aur chaah na kii

tere dast-e-sitam kaa ajz nahiin

dil hii kaafir thaa jis ne aah na kii

the shab-e-hijr kaam aur bahut

ham ne fikr-e-dil-e-tabaah na kii

kaun qaatil bachaa hai shahar me.n ‘Faiz’

jis se yaaron ne rasm-o-raah na kii

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”