shabaab aayaa, kisii but pe fidaa hone ka waqt aaya

merii dunyaa meN bande ke Khudaa hone ka waqt aayaa

unheN dekhaa to zaahid ne kahaa, iimaaN ki yeh hai

ki ab insaan ko sajda ravaa hone ka waqt aayaa

takallum kii Khamoshi kah rahii hai harf-e-matlab se

ki ashk aamez aaNkhoN se adaa hone ka waqt aayaa

hameN bhii aa paRa hai dostoN se kaam kuchh ya’ani

hamaare dostoN ke be-wafaa hone ka waqt aayaa