shaam hoti hai sahar hoti hai

yah waqt-e-ravaaN

jo kabhi sar pe mere sang-e-garaaN ban ke giraa

raah mein aaya kabhii merii himaala ban kar

jo kabhii uqdaa banaa aisaa ki hal hii na huaa

ashk ban kar meri aankhoN se kabhii tapkaa hai

jo kabhi Khuun-e-jigar ban kar mizah par aaya

aaj bewaasta yun guzra chala jata hai

jaise main kashmakash-e-ziist meN shaamil hi nahiin