Serhad-e-Zeest k us paar utar jane do,

Mujh ko is Manzil-e-Ulfat se guzar jane do,

Kab talak jalte raho ge Gham-e-Tanhai main,

Ab fiza shehr-e-tmana ki nikhhar jane do,

Bari muddat k Baad gulistan me bahar aai hai,

Ab to is zulf-e-pareshan ko sanwar jane

do,

Paas rakho ge to barh jaye ga soz-e-hijran,

Khushk phoolon ko hawaon me bikher jane do,

Subha se jheel raha hoon main tumhare ye sitam

zain.

Sham hone ko hai ab lot k ghar jane do.