*. . .Sanam taraash magar,

Aadab-e-kaafri Bhi samajh,

Har aik sang-e-sar-e-raah ko KHUDA na samajh,

Main tujh ko maang raha hun Qubool kar ya na kar,

Ye baat teri meri hy, isay duwa na samajh,

Palat K aaye ga wo bhi gai ruton ki tarhan,

Jo tujhse rooth gaya he, usay juda na samajh,

Raah-e-wafa mein koi aakhri muqaam nahi,

Shikasht-e-dil ko muhabbat ki inteha na samajh . .

Har aik sahib-e-manzil ko ba-muraad na jaan,

Har aik raah-nasheen ko shakista-pa na samajh. . .*