Samna kia jis ki khatir her ruswai ka

Laqab usi ne humein dia ha be wafai ka

Hamaray kochey me to tariki chai ha

Aangan unka bana hua ha markaz shahnai ka

Mein us k sarey shikwey door ker doon

Wo ik bar moka to de safai ka

Ye kia halat ki talkhian kum ho gai??

Ya paimana barr gaya meri shakibai ka?

Ye medan-e-ishq ha medan-e-jang nehi

Yahan sabar ka imtehan ha, wahan qawoot azmai ka

Mehfil me to phihr bhi waqa kat jata ha

Ik ik lamha guzarna mushkil ha tunhai ka

Tumharay samnay to kai manazil hein, kai karwan

Aur ‘PARWAZ’ to makeen ha shab-e-tanhai ka.

BY:

ZESHAN AHMAD PARWAZ

Dosto ye meri apni composition ha. Ye gazal ap ko kaisi lagi zaroor batana,

CELL: 03122965060

E-mail: zee_ahmed2006@yahoo.com