Sambhala hosh hey jab sey muqaddar sakht tar nikla

Para hey waasta jis sey wohi teer-o-tabar nikla

Sabaq deta raha jo umr bhar roshan khayali ka

Ussey jab paas sey dekha to khud bhi tang nazar nikla

Samajh kar zindagi jis se mhbt kar rahy thy hum

Usy jab chhu kar dekha to faqat khaki bashar nikla

Mohabbat ka khumar utra to tab saabit howa hum par

Jisy hum umar samjhy thy wo bemaqsad safar nikla..