Sambhala hosh hai jab se

Muqaddar sakht tar Nikla,

Parha hai waasta jisse

Wohi teer-o-tabar Nikla,

Sabaq deta raha jo Umar bhar

Roshan khayali ka,

Usey jab paas se dekha to

Khud bhi tang nazar Nikla,

Samjha kar Zindagi Jisse

Muhabbat kar rahe they hum,

Usey jab Chhu kar dekha to

Faqat khali Bashar Nikla,

Muhabbat ka Khumaar utra to

Tab saabit hua Hm par,

Jisey hum Umar samjhte they

Wo Bemaqsad safar Nikla,