Sabz madham roshni mein surkh anchal ki dhanak

sard kamry mein machalti garam sansoo ki mehak

bazoo k sakht halkai mein koi nazuk badan

silwatain malboos pr anchal bi kuch dhalka howa

garm-e-rukhsar se dehki hoi thandi hawa

naram zulfoon se mulaaim ungliyon ki chair chaar

surkh honto pr sharart k ksi lmhay ka aks

reeshmi baanhoon mein choori ki kabi madham dhanak

sharmagein lehjoon mein dheerai se kabi chahat ki baat

do diloon ki dharkano mein gonjti thi ik saada

kaanptay hontoon py thi Allah se sirf ik dua

‘kaash ye lamhay thehar jayein thehar jayein zara’

.

.

KAAAAASH………………….,