Sabhi ka Dhoop se bachnay ko Sar nehain hota

Her Aadmi kay Muqdar mai Ghar nehain hota

Kabhi Lahoo se b Tareekh likni parti ha

Her aik Maraka Sar nehain hota

Mai uski Aankh ka Aansoo na ban saka warna

Mujay b khaak mai milnay ka Daar nahin hota

Mujay Talaash karo gay to phir na pao gay

Mai ik Sada hoon ,Sadon ka Ghar nehai hota

Hamari Aankh kay Aansoo ki ,apni Dunia ha

Kisi Faqeer ko Shahon ka Dar nehain hota

Qalam uthai mairay haath Thak gay pir b

Tumharay Ghar ki tarah maira Ghar nehai hota

Mai is Ghar ma rehta hoon oor Zinda hoon

Waseem gis ma Hawa ka guzar nehain hota