sab log liye sang-e-malamat nikal aye

kis shahar main ham ahal-e-muhabbat nikal aye

ab dil ki tamanna hai to ai kash yahi ho

ansu ki jagah ankh se hasrat nikal aye

har ghar ka diya gul na karo tum k na jane

kis bam se khurshid-e-qayamat nikal aye

jo darpa-e-pindar hain un qatlgahon se

jan dek bhi samjho k salamat nikal aye

ai hamnafaso kuch to kaho ahad-e-sitam ki

ik harf se mumkin hai hikayat nikal aye

yaro mujhe maslub karo tum k mere bad

shayad k tumhara qad-o-qamat nikal aye