Saath tum ho, to, sarkhushee bhi saath deygee zaroor!

Saath tum ho, to, yah khushee bhi saath deygee zaroor!!

Samoom-e-tund, naseem-e-sahar mein badleygee;

Saath tum ho, to, maykashee bhi saath deygee zaroor!

Shaakh-e-gulbun pai khilkhilaayengey naye gunchey;

Saath tum ho, to, yah hansee bhi saath deygee zaroor!

Ranj-o-gam mein bhi, dil-e-shaad muskuraayegaa;

Saath tum ho, to, dilkashee bhi saath deygee zaroor!

Khizaan parast fazaa mein bhi baarisheyn hongeen;

Saath tum ho, to, baarishee bhi saath deygee zaroor!

‘Abd’, tamaam kaayinaat aaj hai mushtaaq:

Saath tum ho, to, raamishee bhi saath deygee zaroor!