ruuH kii baat sunii, jism ke tevar dekhe

itlijaa hai voh is aag meN jal kar dekhe

tum voh daryaa jo chaDhe bhii to ghaDii bhar ke liye

maiN voh qatra huuN jo gir ke bhii samandar dekhe

chubhtaa mahaul, ghuTii ruuH, gurezaaN lamhe

dil kii hasrat hai kabhii in se nikal kar dekhe

kaise kar le voh yaqiiN tujh par fareb-e-Gam-e-zaat

terii raahoN meN jo tashkiik ke patthar dekhe

baat ho sirf haqiiqat kii to sah le lekin

apne KhwaaboN ko bikharte koii kyuuN kar dekhe

hamse mat puuchhiye kyaa nafs pe guzrii Ummiid

ek ek saaNs se laDte hue lashkar dekhe