runjish he koi hum se to tany hazar do,

tum se na ho suky to ye bojh utaar do..

cheerti hen kalejy ko teri aah o zariyaan

bahon main apni ley kar mujko hi mar do.

khush hon k faraib khaya raqeeboN se tu ne bhi,

do hamain dua, unhain bud dua bar bar do