Reza-e-kanch ki soorat me

Bikhar jata hon,

Main us ki yaad me

Jab Had se guzar jata hon..

Ab gurezan ha wo milne se

Jo kehta tha kbhi

‘Tum se milte hi me kuch or nikhar jata hon’

Roz khata hon us ko yaad na karne ki qasam,

Roz wadon se me apny hi mukar jata hon..

Mujhko tamasha bana dia hai muhabat ne uski,

Log kasty hyn aawazein

Me jidhar jata hon..

Har mor pe khaya hai

Muhabat me dhoka

Ab koi piyar se pukare to Dar jata hon..