Rasm-e-wafa khuls-o-mehar sab bhol chuka hon.

Ghairoun ki inayat apnun ka qehar sab bhol chuka hon. Itna yaad hai is me shamil thi us ki bhi marzi. Kis ne kiya thaa mujhey dar’badr sab bhol chuka hon. Kisi ki muhabbat ne mujhey shadaab kiya thaa kabhi. Wo haseen din rangeen sham-o-sehar sab bhol chuka hon. Ab to Khud se bhi baat kartey howey G darta hai. Hoti thie gufttago kisi se aat’thoun pehar sab bhol chuka hon.