Rang pairhan ka,khushbo zulf lehrane ka naam

mousam e gul hai tumhare baam per ane ka naam

Dosto us chashm’o’lab ki kuch kaho jis k bagair

gulistaan ki baat rangeen hai na may khane ka naam

phir nazer mein phool mehke dil mein phir shammain jaleen

phir tasawer ne lia us bazm mein jane ka naam

muhtasib ki khair,ooncha hai isi k faiz se

rind ka,saqi ka,may ka,khum ka,payma’ne ka naam

hum se kehte hain chaman wale ,ghareebaan e chaman

tum koi acha sa rakh lo apne veerane ka naam

Faiz un ko hai taqaza e wafa hum se jinhain

aashna k naam se pyara hai beygane ka naam