raat ke gehre sann’ate main

jugnoo dhoondne nikli thi

tanhayi se dard ke sare rishte

torrne nikli thi

baarish ke rastey mein apni aankhen

kese bhool gayi

wo khushboo tu saath hawa ke

baadal dekhne nikli thi

taiz hawaoon main tehri tu

apna ghar tak bhool gayi

aane wale toofanon ka rasta

rokne nikli thi

khwabon ke sehraa main bhatki apni

umer ganwa bethi

wo lerki jo raakh ke dhair main

moti dhoondne nikli thi