Qurbat bhi nahi, dil se uthr bhi nahi jata

woh shakhs koi faisla ker bhi nahi jata

Aankhein hain ke khaali nahi rehti lahu se

aur zakhm-e-judai hai ke bhar bhi nahi jata

woh rahaat-e-jaan hai magar is dar-badri main

aesa hai ke ab daihaan udher bhi nahi jata

hum dohari azeyat ke giraftar mussafir

paoun bhi hain shal, shouq-e-safar bhi nahin jata!

dil ko teri chahaat pe bharosa bhi bohat hai

aur tujh se bichar janey ka darr bhi nahi jata

pagal huey jaty ho faraz us se miley kia

itni se khushi se koi mer bhi nahi jata.