Qissa-e-daar o rasan baazi-e-tiflaana-e-dil

Iltejaa-e-Arini surkhi-e-afsaana-e-dil

Ya Rab is saaghar-e-lab-reiz ki mai kya hogi

Jaada-e-mulk-e-baqa hai khat-e-paimaana-e-dil

Abr-e-rehmat tha k thi ishq ki bijli ya Rab

Jal gaee mizra-e-hasti to uga daana-e-dil

Husn ka gunj-e-garaan maaya tujhe mil jaata

Tu ne Farhaad! na khoda kabhi veeraana-e-dil

Arsh ka hai kabhi Ka’be ka hai dhoka is par

Kis ki manzil hai Ilaahi mera kaashaana-e-dil

Is ko apna hai junoo(n) aur mujhe sauda apna

Dil kisi aur ka diwaana main diwaana-e-dil

Tu samajhta nahi aai zaahid-e-nadaa(n) is ko

Rashk-e-sad-sajda hai ik laghzish-e-mastaana-e-dil

Khaak k dheir ko akseer bana deti hai

Wo asar rakhti hai khaakistar-e-parwaana-e-dil

Ishq k daam mein phans kar ye reha hota hai

Barq girti hai to ye nakhl hara hota hai

ALLAMA IQBAL