Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech

Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar

Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen

Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily

Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha

sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa

Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin

Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech