Qadeer

ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai koii

hai ashk aaNkhon men aur muskuraa rhaa hai koii

nazar nazar men tajallii dikhaa rahaa hai koii

nafaz nafaz pe mujhe yaad aa rahaa hai koii

taKhayulaat ke dhoke hain sab shab-e-vaadaa

na aa rahaa hai koii aur na jaa rahaa hai koii

ye husn-o-ishq kii tasviir ke hain do manzar

ki ro rahaa hai koii muskuraa rahaa hai koii

‘Qadeer’ hashr men pahuNche to ham ne kyaa dekhaa

kisii ke haath se daaman chhuDaa rahaa hai koii