[Qaafile waqt k hathun hain lut’te jate]

Chalo ik bar phr dar_o_bam sajaya jaye,

Geet ulfat ka koi sar_e_sham bajaya jaye,

Toot’ti jati hai umeed ki har kali,

Apne hathon se beej nya ugaya jaye,

Humko maloom hai milain gay dhoke bht,

Apni ankhon ko is bar zara sulaya jaye,

Hathon ki lakerain hui jati hain madhum,

Dil Ko kisi khush fehmi se behlaya jaye,

Ab ke maujain ajab sar-kashi pe utri hain,

Iski zidd ko pyar se sehlaya jaye,

Jo hai chahta wohi nikle zuban se,

Munsif ko barwaqt ye sandesa kahlaya jaye,

Utar rahe hain nit nye azab hasti per,

Aan rakh kar khuwab neendon ko jalaya jaye,

Qaafile waqt k hathon hain lut’te jate,

Naam rahzan k nighebani ko lagaya jaye…