PYAR AISE BHI TO KYA JAAYE

BAS KHAYAALON MAI HI JEEYA JAAYE

baat gul ki chale jo mehfil mai

pehle us ka zikr kiya jaaye

us se naaraazgi buhut hai magar

chuup rahen aur kiya kya jaaye

jaan se hi guzar na jaayen kaheen

sabr itna bhi na kiya jaaye

jab mohabat nahi to fitna kya

zehar jeene ka kiyon piya jaaye

apne luutne pe mai ghazal likhon

mujh se israar na kiya jaaye