purkhon ki rivayat hai ise tum bhi nibhao

pyason ko samandar se bahut dur basaao

yun fikr men har shaKhs ki Khud ko na ghulao

jinaa hai to phir dil ko bhi patthar ka banaao

ye yaad rahe zulm kii had hotii hai yaaro

tum ham ko sataao magar itana na satao

har Khvaab-e-kohan tishna-e-tasvir hai jab tak

tum koi naya Khvaab na logon ko dikhao

jaage huye sone pe razamand nahin hain

soye huye logon ko na ‘Parwez’ jagao