phir koii aayaaa dil-e-zaar, nahiiN koii nahiiN

raahrav hogaa, kahiiN aur chalaa jaayegaa

Dhal chukii raat, bikharne lagaa taaron ka Ghubaar

laRkhaRaane lage aivaanoN men Khwaabiidaa chiraaGh

so gaii raastaa tak tak ke har ek rahguzar

ajnabii Khaak ne dhundhlaa diye qadmoN ke suraaGh

gul karo sham’en, baDhaao maye-o-meena-o-ayaaGh

apne beKhwaab kivaaDon ko muqaffal kar lo

ab yahaan koii nahiin, koii nahiin aayegaa…