Phir aj mujhe tum ko itna batana hai,

Hsan he jeewan hai hastay he jana hai.

Madhuban ho ya gulshan ho,pat jhar ho ya saawan ho,

Har haal main insan ka ik phool sa jeewan ho.

Kanton main ulajh k b khushbu ko lutana hai,

Hasna he jeewan hai hastay he jana hai.

Har pal jo guzar jaye daaman ko to bhar jaye,

Ye soch k jeewan jo taqdeer sanwar jaye.

Iss umar ki rahon say khushbu ko churana hai,

Hasna he jeewan hai hastay he jana hai.

Sab dard mita dain hum har gham ko saza saza dain hum,

Kehtay hain jisay jeena dunya ko seekha dain hum.

Ye aaj to apna hai kal b apnana hai,

Hasna he jeewan hai hastay he jana hai.