Patt-jharr se hai gila na shikayat hawaa se hai

Phuulon ko kuchh ajeeb mohabat hawa se hai

Sarshaarii-e-shaguftgii gul ko kyaa khabar

Mansoob ek aur hikaayat hawaa se hai

Rakha hai aandhiiyon ne hii ham ko kashiida sar

Ham wo charaagh hain jinhain nisbat hawaa se hai

Uss ghar main tergii ke sivaa kyaa rahe jahaan

Dil shama par hain aur iraadat hawaa se hai

Bas koii cheez hai ke sulagtii hai dil ke paas

Ye aag wo nahiin jise suhubat hawaa se hai

Gulcheen ko hii kharaam saba se nahi hai khaar

Ab ke to baaghbaan ko adaawat hawaa se hai

Khushbuu hii rang bhartii hai tasveer baagh main

Bazm-e-khabar main gul kii siyaadat hawaa se hai

Dast-e-shajar main rakhe ke aa kar bikhair de

Aaiin-e-gul main khaas riaayat hawaa se hai

Ab ke bahaar dekhiye kyaa gul khilaye gii

Dildaadgaan-e-rang ko waheshat hawaa se hai