Pathron ki basti ma’ kaar-o-baar sheeshe ka

Koi bhi nahi karta aitabaar sheeshe ka

Kaanch se banne putle thoRi door chalte hain

Chaar din ka hota hay ye khumaar sheeshe ka

Ban sanwar ke harjaai aaj ghar se nikla hay

Jaane kon hota hay phir shikaar sheeshe ka

Dil ke aazmaane ko aik sung kaafi hay

Imtehaan na laina tum baar baar sheeshe ka

Ay Faraz, is zamaane ma’ aarzi hain sab rishte

Hum ne bhi banaaya tha aik yaar sheeshe ka