paas rah ke bhii bohat duur haiN dost

apne haalaat se majbuur haiN dost

tark-e-ulfat bhii nahiiN kar sakte

saath dene se bhii maazuur haiN dost

guftguu ke liye unvaaN bhii nahiiN

baat karne pe bhii majbuur haiN dost

yah chiraaG apne liye rahne de

terii raateN bhii to be-nuur haiN dost

sabhii pazmurda haiN mahfil meN Shakeb

maiN pareshaan huuN, ranjuur haiN dost