paao.n ke zaKhm hai.n farsh-e-gul-e-tar hone tak

raah dushvaar hai aaGaaz-e-safar hone tak

ye alag baat ke Khaamosh hai.n ahal-e-zindaa.N

varnaa ye qaid hai diivaar me.n dar hone tak

ek nazar naqsh-e-kaf-e-paa kaa hunar to dekho

kahkashaa.N sii nazar aatii hai sahar hone tak

haaye vo biij jo miTTii me.n dabaa rahataa hai

kin maraahil se guzarataa hai shajar hone tak

kyaa Khabar tum ko ki ye saqf ye diivaar hai.n kyaa

ham pe kyaa guzarii hai is chhaao.n ke ghar hone tak