Niyat hi Agar Theek Zamane ki Nhi Hai

Jaldi to Mujhe Bhi Kahin Jaane Ki Nhi Hai

Jin Khwabon Ki Taabir Per israr Hai Tum ko

Un Khwabon Ki Tabeer Batane Ki Nhi Hai

Jis Baat Ko Phirte Ho Chupaye Hue Dil Me

Wo Baat Kisi Se Bhi Chupane Ki Nhi Hai

Is Bheer Me Saye Se Bicharta Hua Saya

Kahta Hai Yahan Sath Nibhane Ki Nhi Hai

Jalte Hue Shahron Me izafa Hi to Hoga

Jab Rasm Koi Aag Bujhane Ki Nhi Hai

Jo tere Liye WaQt Se Larte Hain Abhi tk

Un ko to Khabar Hi Tere Ane Ki Nhi Hai

Dukh ye Hai tu Sach Sunne Ki Adi Nahi Wrna

Ye Umr Tujhe Khwab Dikhane Ki Nahi Hai.