[ NishaaT – E – Ghum ]

December Ka Koi Yakh Basta DiN Tha

Main Europe Ke Nehaayat Door Ufaadaa’ ILaaiqe Ki

Kisi Veeran Teeraa’n Gaah’ Mein

BiLkuL AkeLi Banch Per BeThi Thii

ELaan – E – Safar Ki Muntazir Thii

Jahaa’n Tak Aankh Sheeshe Ke Udhar JaaTii

Udaasi Se GaLaY MiLTii

MusaLsaL BarF-BaaRi Ho Rahi Thii

Achanak Mene ApnaY Se MukhatiB

BohaT Maanoos Ik Aawaz Dekhi

Aap Kesii Hain?

AkeLii Hain?

GhhanaY BaaLon, Chamakti BhooRi Aankhon

DiL-Nasheen Baato’n Se Pur

Woh PuR-Kashish Ladka Kaha’n Hai

Aap Dono’n KiTnaY AchhaY LagtaY ThaY !

Mere ChehraY PaY Ik Saaya Saa Lehraya Tha Shayad

Woh AagaY Kuch Nahin BoLa!

Mera DiL Dukh Se Kesa Bhar Gaya Tha

Magar Tah Mein Khushi Ki Laher Bhi Thii

Puraane Log Abhi Bhoole Nahin Hum Ko

Humein Bichhrde, Agar Che

Aaj SoLa SaaL HogaYe