Nigah main gar sharum na ho to husn kesa jamal kesa.

Zaban o lehja narum na ho phir sookhun kesa kamal kesa.

Sitam zarifi to dekho yaro sanum hi mera sajun nahi h,

Phir dil ko un ki be rookhi per ho runj kesa malal kesa.

Badan h tera ba misl e meena hen teri ankhen ba misl e sagar,

Nazar se pi lon ye jaam to phir haram kesa halal kesa.

Han meny ki h khata mohabat, ab kesa durna h tujh se dunya,

Hur mor per ho jub sath dilbar to khof kesa wabal kesa.

Qalum uthany se pehly socho k likh suko gy kalam e kamil,

Wazun behr ka pata na ho to gazal kesi kahayal kesa.

Na khof mujh ko h aaqibut ka, men dooba ishq e khuda main qazi,

Gar sung murshid qabr main ho phir jawab kesa sawal kesa.

Miskeen k damun e fakiri main teri yadon ka h khazana,

Jub tarup dil se na mit suky phir hijr kesa wisaal kesa.