‘Nasir’ kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai,

diwana hai diwane k munh na lago to behtar hai

kal jo tha wo aj nahi, jo aj hai kal mit jayega,

rukhi-sukhi jo mil jaye shukr karo to behtar hai

kal ye tab-o-tawan na rahegi thanda ho jayega lahu,

nam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar hai

kya jane kya rut badle halat k koi thik nahi

ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar hai

kapre badal kar bal bana kar kahan chale ho kis k liye

rat bahut kali hai ‘Nasir’ ghar main raho to behtar hai…!!!

Poet: by Nasir kazme

tYped by ‘UßaId’

333-6003694.

KHaN……..