na manzileN thiiN, na kuchh dil meN thaa, na sar meN thaa

ajab nazaara-e-laa-simtiyat nazar meN thaa

ataab thaa kisii lamhe ka ek zamaane par

kisii ko chain na baahar thaa aur na ghar meN thaa

chhupaa ke le gayaa duniaa se apne dil ke ghaav

ki ek shakhs bohat taaq is hunar meN thaa

kisii ke lauTne kii jab sadaa sunii to khulaa

ki mere saath koii aur bhii safar meN thaa

jhijhak rahaa thaa voh kahne se koii baat aisii

maiN chup khaDaa thaa ki sab kuchh merii nazar meN thaa

abhii na barse the baani ghire hue baadal

maiN uDtii Khaak kii maanind rahguzar meN thaa